Bismillah-ir-Rahman-ir-Raheem Fajr ki namaz ek bohot hi ahmiyat wali namaz hai jo har Muslim par farz hai. Yeh din ki pehli namaz hoti hai aur isko waqt par ada karna duniya aur aakhirat dono ke liye behtareen hai. Is blog me hum Fajr ki namaz ka sahi tareeqa , iska waqt , raka’at ki tafseel , aur is se mutaliq zaroori baatein samjhein ge taake har Muslim isko behtareen tareeke se ada kar sake. Fajr Ki Namaz Ka Sahi Tarika– Mukammal Rahnumai 1. Fajr Ki Namaz Ka Waqt Fajr ki namaz subah sadiq (dawn) se lekar suraj nikalne se pehle tak padhi jati hai. Jab suraj nikal jaye to Fajr ka waqt khatam ho jata hai. 📌 Important: Fajr ki namaz waqt par ada karna zaroori hai, warna qaza ho jati hai. Suraj nikalne ke foran baad namaz parhna makrooh hai, is liye agar qaza ho jaye to 20-30 minutes baad ada karein. 2. Fajr Ki Namaz Kitni Raka’at Ki Hoti Hai? Fajr ki namaz 4 raka’at par mushtamil hoti hai: 1️⃣ 2 Raka’at Sunnat-e-Muakkadah (Bohot Ahmiyat wali Sunnat) 2️⃣ 2 Raka’a...